Thursday, November 23, 2006

Waqt-e-Furqat

     WAQT-E-FURQAT



Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN

Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil

Socha bhi naa thaa



Woh chaNchal si khilkhilahat

Woh tumhari maNd maNd si muskaan

Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay

Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan



Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa

Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa



Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah

Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah



Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay swaal

Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jmaal



Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar

Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar



Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN

Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-

"SUNO NA"
------------------------------------

No comments: